Besan Puri


Swadisht Besan Puri

besan puri ke liye hamen kya kya chahie samagri..... dekhiae

gehun ka atta- 1 katori, besan- ½ kab, namak- swadanusar, hara dhaniya- 1 bada chammach (bareek kata hua)
tel-1 chhota chammach (moyan ke liye)
haldi powder- 1 chhota chammach,
hari mirch aur adrak ka pest- 1 chhota chammach, hing- avashyakta anusar,  tel- talne ke liye.
aise banaen besan Puri....
ek gehre bartan mein gehun ka aata, besan, namak, hara dhaniya, ek  chhota chammach tel, haldi powder, hari mirch-
adrak ka pest aur hing dalkar milaen. pani se thoda sakht aata gundhle or 10 minat ke liye dhak kar rakh de. fir masalte huye naram kare. ab puriyan bel len tej se madhyam aach ke bich puriya tal len.
puriya dahi ya chatni ke sath parose




Comments