Bedmi Puri


Bedmi Puri

bedmi puri ke liye hamen kya kya chahiye samagri..... dekhiae


gehun ka aata- 3 cup, suji (vaikalpik)- 1 bada chammach, mung yah urad daal- 1 cup, namak- swadanusar, hing- ½ chhota chammach, ajwain- ½ chhota chammach, hari mirch aur adrak ka pest-1 bada chammach, tel- 1 bada chammach moyan ke liye, hara dhaniya- 1 bada chammach barik kata hua.


aise banaaiye bedmi Puri 


mungdaal ko 2-3 ghante bhigoye, fir barik pis le. ek bartan mein aata, suji pisee mungdaal, namak, hing, ajwain, hari mirch- adrak pest, hara dhaniya aur ek bada chammach tel dalkar milaen. pani se sakht gundhe aur das minute dhakkar rakh de. kadhai main tel garm kare. Is bich hathon main halka tel lagakar aate per acchi tarah se malay. chhoti- chhoti puriya bel le aur madhyam se tej achh per sunhara hone tak tale. aalu ki rasedar sabji, bundi ka rayta aur chatni ke sath bedmi puri parose.


aur puree family ke sath garma garam badmi puri ka maja le





Comments