Aaloo Matar Ki Shabji

Aaloo matar ki sabji kuchh is Tarah Banaye.....


Sabse alag iskee samagri.


4 bade uble aaloo 
½ cup matar 
1 bada barik cut pyaj
2 chhote tej patta
2 badi hari mirch
2 cut tamatar
1 chhoti chammach haldi powder
1 chhoti chammach sarson ke dane
1 chhoti chammach lal Kashmiri mirch. thodi gote garam masale
aur namak swad anusar
thodi cut dhaniya patti.
ab ham banayenge aaloo matar ki sabji jo ki hai sabse swadisht aur tasty. anokhe is ke masale janenge ham aage..
to sabse pahle ham uble aaloo ke chote tukde kar lenge. ham fir use tel mai fry kar lenge. fry asse hone chahiye ki uske rang sunhare ho jaaye fir uske bad ham kadhai mein 2 bade chammach tel dalenge jab tel garm ho jaaye to ham usmein 2 tej patta dalen fir. gota garam masala dalkar halka fry karle. fir usmein cut hari mirch dalne ke sath sath 1 bade barik cut pyaj dalenge aur uske sunara hone tak usse pakka aaenge jab hamara pyaj sunhara ho jaaye tab ham usmein cut tamatar dalenge. aur usse bhi acche tarah bhunege. fir usmein chhoti chammach haldi powder ek chammach lal kashmiri powder daalenge iske bad jab hamare masale acche se bhun kar taiyar ho jaye tab uske sath-sath hame aalu aur matar bhi bhun lege, 1 minut tak bhune ke bad ham usmein 2 cup pani dalege use acche se pakalege aur uske bad ham kadhai ko 5 minut tak dhaak denge, aur uske bad thodi kati dhaniya patti daal ke uski khubsurati ko bada aaenge yah hai, hamari anokhi aaloo matar ki sabji...


 AliyaRani
  

Comments